CHICKEN GRAVY , CHICKEN MASALA, HOW TO MAKE CHICKEN MASALA
CHICKEN GRAVY , CHICKEN MASALA
INGREDINTS :
- Chicken 1/2 Kg
- Adrak Lahsan Ka Paste
- Hari Mirch 2 -3
- Hara Dhaniya
- Tomato 2
- Tez Patta 2
- Loung
- Kali Miri
- Elaichi
- Sabut Dhaniya
- Zeera
- Dalchini
- Pyaz Medium Size Ke 4 / 5
- Lal Mirch Powder 1 Spoon
- Haldi Powder ¼ Spoon
- Dhaniya Powder 1 Spoon
- Garam Masala Powder ½ Spoon
- Oil 3 Bade Chammach
- Namak Swad Anusar
BANAE KA
TARIKA:
Pahele Hum Masala Tayar Karege :
Sabut Dhaniya ,Loung , Kali Mirch,Elaichi ,Zeera
,Dalchini ,In Sab Ko Fry Pan Me Bhunle Thoda Bhura Rang Hone Tak Bhune Phr
Thanda Kare Aur Grind Karle.
Adrak Lasan Ka Paste Banale Aur Usme Hari Mirch Bhi Grind
Karle.
Do Tomato Aur 1 Pyaz Ka Paste Banale .
Chicken Ko Ache Se Dhole Aur
Pani Nitharne Rakh De .
1 . Ek Pan Me Tel Dale Aur Pyaz Ko Ache Tarah Se Badami Colur Hone Tak Bhune Phr Usme
Chicken Dale Aur Ache Tarah Se Bhune Tez
Patta ,Kali Mirch ,Elaichi ,Zeera ,Loung ,Dalchini Dale Aur Tomato Aur Pyaz Ka Paste Bhi Dale
Aur Ache Se Bhune.
2 . Phr Jo Hume Sab Masale Grind Kiye Hai Wo Sab Dale Aur
Adrak Lahsan Aur Hari Mirch Ka Jo Paste Banaya Hai Wo Dale , Lal Mirch , Haldi Powder ,Dhaniya Powder ,
Garam Masala Powder , Namak Swad Anusar Dale Ache Se Milaye Thode Der Ache Se
Bhune Aur Dhakkan Lagakar 8 Se 10 Mint Tak Rakhe .
3 . Tel Chute Tak Ache Se Bhune .
4. Abhi Ap Ko Jitna Gravy Chahiye Utna Pani Dale Aur 10 Se 15 Mint
Pakaye Aur Gas Off Kare Aur Upar
Se Kata Hua Hara Dhaniya Dale Aur Serve Kare .
Aur aapko meri ye recipe pasand aaye to Recipe apne frnds aur family k sath share zarur kare
Comments
Post a Comment
Thank you for comment