Mutton Pulao Recipe l Easy Mutton Pulao in Cooker l Mutton Pulao recipe in hindi l How to make muton pulao


Mutton Pulao Recipe
Easy Mutton Pulao in Cooker
Mutton Pulao recipe in hindi



Hii Everyone, aaj ki dish me hum dekhege ki kis tarah se hum Mutton Pulao recipe easily cooker me bana sakte hai..

Ingredients :


  • 250 gm Mutton
  • 2 medium size Pyaaz (onion ) Finely chopped
  • 3 medium size Aloo (Potato)
  • 8 to 10 Kadipatta (curry Leaves)
  • 50 gram Adrak Lehsun 
  • 7 to 8 Hari Mrich (Green Chilli)
  • Coriander Leaves
  • 2 Tez patta
  • 2 Dalchini
  • 2 Chakri Phool
  • 2 Badi Elaichi
  • 7 to 8 Long
  • 10 to 12 Kali mirch
  • Shahzeera 5 gram
  • 1 Tablespoon garam masala powder
  • 100 gram Dahi
  • 2 Medium size Tomato
  • 3 Saboot Lal Mirch
  • Akhha Dhaniya 
  • Sauf
  • 4 tablespoon Oil
  • 2 tablespoon Desi ghee
  • Namak as per taste

How to Cook :

Sabse pehle Adrak lehsun hari mirch aur coriander ka paste bana le.

Ab ek cooker me oil aur ghee add karlege aur garam hone dege 

Ab usme pyaaz add kar lege aur kadipatta bhi add kar lege

Ab isme garam masala add kar lege, aur saboot lal mirch , akhha dhaniya aur sauf bhi add kar lege

Ab ise mix kar lege aur pyaaz  sunehra hone tak bhun lege

Pyaaz sunehri ho chuki hai ab isme mutton add kar lege aur 2 se 3 miunte medium flame pe aur 1 minute fast flame pe bhun lege.

Ab humne jo grind kiya hua paste add kar lege aur use mix kar lege aur 1/4th  pani add karke usse ast flame pe bhun lege 

Ab Mutton ke hisab se namak add karlege aur mix karke 1 minute bhun lege

Ab hum isme dahi add karege aur use mix karlege aur bhun lege 

Ab isme aloo add kar lege

Ab kate huye tamatar add karge

Ab 1 bada spoon garam masala powder add kar lege

aur achhi tarah se mix karlege aur 2 minute bhun lege. 

Ab dhule huye chawal chawal add karle aur chawal ke hisab se pani add karle aur mix karle.

Aur chawal ke hisab se namak add karke mix karle

Ab jab tak ubal na aye fast flame pe pakne de aur ubal aa jaye to mix karle 

Ab cooker ka dhakkan dhak de aur 2 city aane tak pakne de aur 2 city ane ke bad gas band karde.

Ab ise 10 minute baad open kare aapka swadish pulao ready ho chuka hai

Ab aap isse salad ya raita ke sath serve kare aur family aur friends ke sath enjoy kare.


Thank You...

I hope aapko fully explained ye dish pasand aayi hogi.  aap ise zarur try kare aur mujhe comment kare..












Comments

Popular posts from this blog

Gurda Kaleji Masala recipe in hindi - Mutton Liver Recipe - Bakra Eid Special

Turai Chana Dal Recipe in Hindi l How to make Turai chana dal recipe l तोरई चना दाल की सब्जी

Muharram Special Doodh Ka Sharbat l Milk Cold Drink Recipe