schezwan fried rice recipe in hindi l How To Make schezwan Chicken Fried Rice
schezwan fried rice recipe in hindi
Ye ek Indo chinese recipe hai. Aur aajkal sabhi ki favourite recipe hai to aaj hum chicken schezwan fried rice banana sikhege...
Ingredients :
Ingredients :
150 gm Chicken
1 tbsp adrak lehsun ka paste ( ginger garlic paste)
1 tbsp corn flour
250 gm basmati rice
half cup gajar ( carrot finely chooped )
half cup shimla mirch ( capsicum)
1 cup hara kanda ( spring onion)
half cup onion
1 inch adrak ( ginger)
5 to 6 lehsun kali ( garlic )
half cup beans
1 tbsp kali mirch powder ( black pepper powder)
2 tbsp schezwan sause
2 pinch food colour
namak swad anusar ( salt as per taste)
2 tbsp red chilli sause
2 tbsp green chilli sause
2 tbsp soya sause
1 tbsp vinegar
1 egg
2 tbsp oil
Banane ka Tarika ( How to make chicken schezwan fried rice) :
Sabse pahele hum chicken ko marinate karlege, pahele usme 1tbsp adrak lehsun ka paste , 1 tbsp corn
flour , namak swad anusar , 1 tbsp soya sause , 1 tbsp vinegar , mix karle 1/2 tbsp kali mirch powder
dale mix karle 1 pinch food colour add karlege mix kaelege aur marinate hone rakhdege 10 se 15
mint ke liye.
Abhi hum pahele chawal ko 90 % cook karlege .
Pan garam karege usme 1 tbsp oil dalege aur jo chicken humne marinate kiya tha use fry kar lege
ache se dono side se fry kare ap shalow fry bhi karsakte aur dip fry bhi .
use pan me hum abhi anda fry karege fry karte waqt hum ande ko pieses me karlege.
Abhi hum pan garam karege aur phr usme 1 tbsp tel dalege aur barick kata hua adrak lehsun add
karlege medium flame par star karege half mint tak aur phr usme beans ,gajar aur shimla mirch add
karege aur 1 mint bhunege phr usme pyaz dalege aur half mint bhunege .
Ab usme kali mirch dalege half tbsp mix karege 2 tbsp green chilli sause , 2 tbsp red chilli sause , 2
tbsp soya sause , 2 tbsp schezwan sause mix karlege .
Ab hum isme half cup hara kanda add karlege aur namak dalege aur mix kaelege half mint ke liye
phr usme chawal dalege , anda dalege , chicken add karege aur ache se mix karlege aur 1 mint
bhunlege aur bacha hua hara kanda bhi add karege aur mix karlege aur ache se bhunlege .
aur hamara schezwan fride rice tayar ho chuka hai aur ab hum ise serve kar lege .
Video :
I hope aapko meri ye dish pasand aayi hogi..
Thank you for reading...
Video :
I hope aapko meri ye dish pasand aayi hogi..
Thank you for reading...
Comments
Post a Comment
Thank you for comment